Ab aap Ghar baithe SBI ATM/Debit card online Apply kar sakte hai aur use Activate bhi kara sakte hain, aapko iske liye State Bank branch me jaane ki jarurat nahi hai.
Aap Online Apply karke SBI ka koi bhi Debit card (Silver, Gold, Platinum etc) apne Ghar manga sakte hain.
Aaj main aapko iske bare me batane ja raha hu.
Dusre Banks ki tarah State Bank of India apni jyada se jyada facility ko online pahuchane ki kosis kar raha hai. Lagbhag tamaam SBI ki Products aap online use kar sakte hain. ATM/Debit se related saare kaam aap online kar sakte hain.
1 Month pahle jab Online ATM/Debit card apply karne ki suvidha nahi thi tab maine Global Debit card ke liye Branch me Apply kiya tha, aap yakeen nahin karenge mujhe 2 baar bank ke chakkar lagane pade aur 4 hours waste karne pade, Token ki Problem ke karan.
Magar ab aapko aisi Problem nahi face karni padegi, aap Online sab kuch kar sakte hain.
SBI ATM/Debit card Online Apply kaise kare?
Dosto online ATM/Debit Card Apply karne ke liye aapki netbanking enable honi chahiye. Agar aapki Netbanking enable nahi hai to koi problem nahi hai, sirf 10-minutes me wo bhi internet par ATM card se activate kar sakte hain.
1
Online SBI ATM/Debit Card Apply karne ke liye aapko sabse pahle onlinesbi.com par jaakar apne Account me log-in karna hai.
2
online sbi account me Login karne ke baad:
- e-Services option par click karna hai
- Ab aapko left-side ATM Card Services par click karna hai.
- ATM Card Services ke andar Request ATM/Debit Card par Click Kare.
Next screen me Account Validate karne ke liye “OTP” ya “Profile Password” ke jariye Account validate kare. OTP se validate karna hai to OTP aapke Mobile number par aayega.
3
Ab agli Screen me aapko apna (see below)
- Account Number Select karna hai
- Name on Card me apna Name Enter kare, yahi Name aapke ATM/Debit card par Print hoga.
- Select Card of Type me apna card Select kare, jisme aap kayi tarah ke Cards Choose kar sakte hain.
- Ab I Accept terms par tick karke Submit par click kare.
4
Next screen me aapko bus saari Details Check karke “Submit” par Click karna hai. Congratulations aapne ATM/Debit card ke liye Successfully Apply kar diya hai.
Apply karne ke baad 15-20 din ke andar aapka card aapke ghar par mil jaayega. Ab use aapko Activate karna hai. Activate karne ke liye aapko Branch jaane ki jarurat nahi hai. Yah kaam bhi Onlinesbi par hi aap kar sakte hain.
Main aapko recommend karunga ki Branch me jakar card activate kare, agar aapko activation me problem ho rahi hai.
ATM/Debit Card Online Activate Kaise Kare?
Apne Card ko online Activate karna bahut easy hai.
- Apne Onlinesbi Account par Log-in kare. Aur e-Services par Click kare.
- e-services me Left side me ATM Card Services par click kare.
- Ab New Card Activation par Click kare.
Ab Next aapko Account Number select karke “ATM card Number” Enter kar Activate par Click kare.
Bus aapka card Activate ho chuka hai.
Bus aapka card Activate ho chuka hai.